Hello dosto kaise ho aap ek baar phir se mai aapka swagata karta hoo, Friends aaj mai aapko kuch aisi trick batane jaa raha hoo, Friends agar aap ek blogger ho or aapka google adsense approve ho gya hai to yeh trick aapke liye bahut hi jyada jaroori hai, Jis trick ka naam hai Google adsense approve ho jaane ke baad kya karna chahiye,
Friends jaisa ki hum sab log jante hai ki aaj ki is internet ki duniya me log online earning kar rahe hai, Bahut se log aise bhi hai jo apni ek website banakar earning karte hai, Or kuch log aise bhi hote hai jo youtube par apni vedio upload kar kar paise kamate hai, Lekin dosto mai aaj ke is article me blog ke baare me bataunga,
Friends mai aapko bata du ki ek blogger ko adsense approve ho jane ke baad jo khusi prapt hoti hai bo shayad kahi nahi ja sakti hai, Kyonki dosto blog ke liye sabse jyada jaroori hota hai Adsense approve hona, Lekin dosto kuch log aise bhi hote hai jinka adsense approve to ho jaata hai lekin unki kuch mistake or galtiyon ki bajah se adsense Disabled ho jaata hai.
Is dosto aaj mai un logo ke liye yeh article upload kar raha hoo, jo log adsense approve ho jaane ke baad galtiya karte hai or unka adsense disabled ho jaata hai, Jisko follow karke aap apna adsense Disabled nahi hone denge. chaliye shuru karte hai hum aaj ke is article ko.
Contents
Google Adsense Approve Ho Jane Ke Baad Kya Karna Chahiye
Friends mai aapko bata du ki internet ki is duniya me google ek din me lagbhag lakho adsense approve karta hai, Or lakho adsense disapprove karta hai, isliye friends humko kabhi bhi aisa kam nahi karna chaiye ki hamara google adsense account disapprove ho jaye, chaliye friends ab hum aapko batate hai ki Google adsense approve ho jane ke baad kya krna chahiye,
1- Invalid Click
Friends hamara google adsense approve ho jane ke baad kya karna chahiye sabse pahle topic hai ki ads par invalid click na kare matlab ki kabhi bhi apne aap apni post ki ads par click nahi karna chahiye, Or na hi direct apni website khol kar kisi ke bhi mobile ya computer se click na kare, Kyonki dosto maine aise bahut se log dekhe hai jo apne aap apni site ki ads par click kar lete hai ya phir kisi ke laptop ya mobile me apni site ko direct kholkar ads par click kar lete hai, Or isi prakar un logo ka google adsense account disapprove ho jaata hai,
2- Increase your blog traffic
Friends mai aapko bata du ki adsense ko safe rakhne ke liye sabse jyada jaroori hota hai ki apni website par traffic badhaye, Friends apni site par traffic badhana jyada muskil kam to nahi hota hai lekin un logo ko traffic badhane ke liye jyada mahnat karni padhti hai jo log blooger se ya blogspot se jude hote hai, Traffic badhane ke liye fb page banaye, Guest Post kare, social media par jyada se jyada share kare.
3- Adsense ads size and number
Friends adsense ko approve ho jane ke baad ads size sahi se lagani chahiye or mai aapko bata du jab kabhi bhi aap adsense ki ads apne site par lagau to responsive hi lagau kyonki dosto yeh sabse accha mana gya hai, Or kabhi 3 se jyada ads nahi lagani chahiye kyonki dosto agar aap apni site par teen se jyada ads lagate hai to aapki cpc decrease ho jati hai,
4-Apna address verify kare
Dosto jab bhi aapki adsense ki earning $10 ho jaaye to aapko apna address turant verify kar lena chahiye kyonki dosto isse hi aapki pin aayegi agar aap apne address ko verify nahi karte hai or aapka address galat hota hai to aapki pin nahi aayegi or aapki sari mahnat bekar me jati hai.
5- Post Schedule
Friends jab aapka google adsense account approve ho jaata hai to regular post likhna jaroori nahi hota hai, Lekin dosto yeh bahut jaroori hai agar aap koi bhi post likh rahe hai agar bah 1000 word se kam ki hoti hai ya uska focas keyword sahi nahi hota hai to yeh aapki site ke liye sahi nahi hota hai.
6- Unhelpful Plugin Not Install
Dosto kabhi bhi adsense approve ho jane ke baad faltu matlab jiska koi kam na ho un plugin ko install nahi karna chahiye, Isse aapki site me bahut sari problem aa sakti hai or aapka google adsense account disapprove ho sakta hai.
7- Copy Content
Friends mai aapko ek baat bata du ki kabhi bhi aapko copy nahi karni hai chahe aapka adsense account approve ho ya na ho, Kyonki dosto maine bahut se log dekhe hai jinka adsense approve ho jata hai or traffic naa ane ki bajh se bah copy karne lagte hai, Lekin friends yeh aapki blog ke liye bahut hi glat ho sakta hai.
To friends yeh tha hamara aaj ka article ki Google adsense approve ho jane ke baad hum kya karna chahiye, I hope friends ki aapko hamare dwara batayi gai jankari samajh me aayi hogi or acchi bhi lagi hogi, Friends agar sahi lagi ho to apne dosto ke sath or social media par jaroor share kare.
You Also Like:
- Google Adsense Disabled ho Jane ke Baad Phir Se Reapply Kab Karna Chahiye?
- Adsense Low CPC Kaise Badhaye [Full Guide 2019 in Hindi]
- Google adsense invalid click activity kya hai? or isko kaise pahchane in hindi?
- Domain Authority Kya Hai? Blog Ki Domain Authority Kaise Badhaye
- Apni WordPress Website Par Traffic Badhane Ke Best Hindi Tips
- Youtube Subscriber Kaise Badhaye| Youtube Subscriber Badhane ke Tips in Hindi
Leave a Reply